Friday, 27 October 2017

Halaal Aor Haraam Janwaron Ka Bayan....


*بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ*
*اَلصَّــلٰوةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُوْلَ اللّٰه ﷺ*
🌿 *Halaal Aor Haraam Janwaron Ka Bayan*🌿

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Baaz janwaron ke khane se shariyat ne mana kiya hai, isme kya hikmat hai*❔❔
🌻 *Jawaab ...*✍🏻 Gosht ya jo kuch ghiza khayee jati hai wh juzwe badan ho jati hai aor uske asarat zahir hote hain aor chunki baaz janwaron me mazmoom sifaat payee jati hain un janwaron ke khane me andesha hai ki insan bhi un buri sifaton ke sath muttasif ho jaye lihaza insan ko unke khane se mana kiya gya.
📕 *Bahare Shariyat, Volume 3, Part 15/323*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Janwaron ke haraam hone me qayeda kulliya kya hai yani konse janwar haraam hain*❔❔
🌻 *Jawaab ...*✍🏻 Kile wala (nokile danton wala) janwar jo kile (nokile danton) se shikar krta ho haraam hai jaise sher, geedar, lomri, bijju, kutta waghairaha ki unsb me kile hote hain aor shikar bhi krte hain. Unt ke kila hota hai magar wh shikar nhi krta lihaza wh is hukm me dakhil nhi.
📕 *Durre Mukhtar, Kitabuzzabayeh, 9/507*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Parindon ke haraam hone me qayeda kulliya kya hai yani konse haraam hain*❔❔
🌻 *Jawaab ...*✍🏻 Panja wala parind jo panja se shikar krta hai haraam hai jaise shikra, baz bahri, cheel.
📕 *Durre Mukhtar, Kitabuzzabayeh, 9/508*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Hashratulard ka kya hukm hai*❔❔
🌻 *Jawaab ...*✍🏻 Hashratulard haraam hain jaise chuha, chipkili, girgit, ghons, sanp, bichchu, khtaml, machchr, makkhi, mendhk waghairha.
📕 *Durre Mukhtar, Kitabuzzabayeh, 9/508*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Gadhe khachchr aor ghore ka kya hukm hai*❔❔
🌻 *Jawaab ...*✍🏻 Gadha haraam hai, unhi wh khchchr jo gadhi se paida hua agrche baap gadha na ho, aor hamare *Imame Aazam Radiallahu ta'ala Anhu* ke mazhab me ghora makroohe tahreemi hai yani qareeb ba haram, unhi wh khchchr jiski ma ghori ho.
📕 *Fatawa Razawiyya, Volume 20/312*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Jangali gadhe ka kya hukm hai*❔❔
🌻 *Jawaab ...*✍🏻 Jangali gadha jise gorkhar khte hain halaal hai.
📕 *Durre Mukhtar, Kitabuzzabayeh, 9/509*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Kachuwe khana kaisa*❔❔
🌻 *Jawaab ...*✍🏻 Kachuwa khushki ka ho ya pani ka haraam hai.
📕 *Durre Mukhtar, Kitabuzzabayeh, 9/509*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Hamare han jo aam kawwa paya jata hai, use khana kaisa*❔❔
🌻 *Jawaab ...*✍🏻 Ghurab abqa yani kawwa jo murdar khata hai haraam hai.
📕 *Durre Mukhtar, Kitabuzzabayeh, 9/508*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Pani ke konse janwar halal hain*❔❔
🌻 *Jawaab ...*✍🏻 Pani ke janwaron me sirf machli halal hai.
📕 *Durre Mukhtar, Kitabuzzabayeh, 9/511*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Kaonsi machhli khana hraam hai* ❔❔
🌻 *Jawaab...*✍🏻 Jo machli pani me mr kr tair gyi yani ki  jo beghair mare apne aap mr kr  pani ki satah pr ulat gyi wo hraam hai machli ko mara aor wo markr ulti tairne lgi ye hraam nhi.
📕 *Durre Mukhtar, Kitabuzzabayeh, 9/511*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Tiddi khana kaisa hai*❔❔
🌻 *Jawaab ...*✍🏻 Tiddi halaal hai machli aor tiddi ye dono beghair zbah halaal hain jaisa ki *Hadees* me farmaya 2 murde halaal hain  machli aor tiddi.
📕 *Bahare Shariyat, Volume 3, Part 15/324*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Machli pani me kisi sabab jaise ki  garmi ya sardi se mr gyi to iska kya huqm hai*❔❔
🌻 *Jawaab ...✍🏻* Pani ki garmi ya sardi se machli mr gyi ya machli ko dore me bandhkr pani me dal diya aor mr gyi ya jaal me phnskr mr gyi ya pani me koi aisi cheez daal di jisse machliyan mr gyeen aor ye maloom hai ki us cheez ke dalne se mari ya ghare ya gaddhe me machhli pakdkr daal di aor usme pani thoda tha is wajah se ya jagah ki tangi ki wajah se mr gyi in sb sooraton me wo mri hui machli halaal hai.
📕 *Durre Mukhtar, Kitabuzzabayeh, 9/512*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Jheenga khana kaisa hai* ❔❔
🌻 *Jawaab...*✍🏻 Jheenge ke mutalliq ikhtilaaf hai ki ye machli hai ya nhi isi bina pr iski hillat wa hurmat me bhi ikhtilaf hai bazahir iski soorat machli ki si nhi maloom hoti blki 1 qism ka keera maloom hota hai lihaza isse bachna hi chahiye.
📕 *Bahare Shariyat, Volume 3, Part 15/324*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Chhoti machliyan beghair shikam chak kiye bhoon li gyeen, unka kya huqm hai*❔❔
🌻 *Jawaab ...*✍🏻 Chhoti machhliyan beghair shikam chaak kiye bhoon li gyeen unka khana halaal hai.
📕 *Durre Mukhtar, Kitabuzzabayeh, 9/515*

🌻 *Suwaal ...✍🏻 Jallala kaon se janwar hain, aor uske khane ka kya hukm hai*❔❔
🌻 *Jawaab ...*✍🏻 Ba'aaz gayen, bakriyan ghaleez khane lagti hain unko jallala kahte hain uske badan aor gosht wagairah me badboo paida ho jati hai usko kaee din tk bandh rkhen ki najasat na khane payen jb badboo jati rhe zabah krke khayen isi trh jo  murghi ghaleez khane ki aadi ho use chand roz band rakhen jb asar jata rhe zabah krke khayen jo murghiyan chhooti phirti hain unko band krna zroori nhi jbki ghaleez khane ki aadi na hon aor unme badboo na ho behtr ye hai ki unko bhi bnd rkhkr zabah kren.
📕 *Durre Mukhtar, Kitabuzzabayeh, 9/511*

✅ Bakra jo khasi nhi hota wo aksr peshab peene ka aadi hota hai aor usme esi skht badboo paida ho jati hai ki jis rasta se guzarta hai wh rasta kuch der ke liye badboodar ho jata hai uska bhi hukm whi hai jo jallala ka hai ki agr uske gosht se badboo dafa ho gyee to kha skte hain wrna makrooh w mamnooa.
📕 *Bahare Shariyat, Volume 3, Part 15/325*

✅ Bakri ke bachcha ko kutiya ka doodh pilata raha uska bhi hukm jallala ka hai ki chnd roz tk use bandhkr chara khilayen ki wo asar jata rahe.
📕 *Fatawa Hindiya, Kitabuzzabayeh, 5/289*
📕 *Bahare Shariyat 3,*
*Part 15/323 to 327*

➖➖➖➖➖➖➖
  🌹 *_طالب دعا_*🌹
 ✍🏻 *سيد فيضان القادرى*
                  *_7408251621_*📲

No comments:

Post a Comment